Friday, March 20, 2009

Jaisi Bachi Hai Waisi Ki Waisi Bacha Lo Yeh DuniYa

World is a happy place. This is what we believe or at least this is what we want to believe. The sun rises in the east, sets in the west and today hasn't changed much from yesterday. The world is all about superficial universal truths which already exists and which are in the continuous process of evolution. The following lyrics from a song called "duniya" took me deeper. Go through the lyrics slowly and feel each word of the song:

oo ri duniya…
oo ri duniya
aye surmayee aankhon ke pyaalon ki duniya oh duniya
aye surmayee aankhon ke pyaalon ki duniya oh duniya
satrangi rango gulalon ki duniya oh duniya
satrangi rango gulalon ki duniya oh duniya

alsaayi sejo ke phoolon ki duniya oh duniya re
angdaayi tode kabootar ki duniya oh duniya re
aye karwat le soyi haqeeqat ki duniya oh duniya
deewani hoti tabiyat ki duniya oh duniya
khwaahish mein lipti zaroorat ki duniya oh duniya re
ye insaan ke sapno ki niyat ki duniya oh duniya
oh ri duniya oh ri duniya


yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai?
yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai?

mamta ki bikhri kahani ki duniya oh duniya
behno ki siski jawani ki duniya oh duniya
aadam ke hawaa se rishte ki duniya oh duniya re
heyyy shayar ke pheeke labzo ki duniya oh duniya

gaalib ke maumin ke khwaabon ki duniya
majazo ke un inqalabo ki duniya
faize firako sahir umakhdum meel ki zoku kitabo ki duniya

yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai?
yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai?

palchin mein baatein chali jaati hai
palchin mein raatein chali jaati hai
reh jaata hai jo savera wo dhoondhe
jalte makaan mein basera wo dhoondhe
jaisi bachi hai waisi ki waisi bacha lo yeh duniya
apna samajh ke apno ki jaisi utha lo yeh duniya
chitput si baaton mein jalne lagegi sambhalo yeh duniya
katpit ke raaton mein palne lagegi sambhalo yeh duniya
oh ri duniya… oh ri duniya… wo kahen hai ki duniya
yeh itni nahi hai sitaaro se aage jahan aur bhi hai
yeh hum hi nahi hai wahan aur bhi hai
hamari har ek baat hoti wahin hai
hamein aitraaz nahi hai kahin bhi
wo aayi zamil pe sahi hai
magar falsafa yeh bigad jaata hai jo
wo kehte hai… aalim yeh kehta wahan ishwar hai
faazil yeh kehta wahan allah hai
kabur yeh kehta wahan isa hai
manzil yeh kehti tab insaan se ki
tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya

yeh ujde hue chand baasi chiragon
tumhare yeh kale iraado ki duniya
oo ri duniya oo ri duniya…
oo ri duniya…

5 comments:

  1. it wud be nice if u cud translate it!! :D

    ReplyDelete
  2. @danny: sry bhaiya...translation would be a long one....meet me next time i will explain u :)

    ReplyDelete
  3. doosri post kahan hai be

    ReplyDelete
  4. hey, what does the word palchin mean?

    ReplyDelete